Hasbi Rabbi Zallallah (হাসবি রাব্বি দফ গজল) 

Ya Rasulallah Ya Habiballah (2)

Hasbi Rabbi Jallalallah
Mafee Qalbi Gayrullah
Noore Muhammad Sallalallah
Lailaha Illalallah (2)

Tere Sadqe mein Aaqa
Sare jahan ko deen mila
Be deenon ne kalma pada
Lailaha Illalallah

Wo jo Bilale Habshi hein
Sarware Deen ka pyara hai
Duniya ke har Aashiq ki
Aankhon ka wo Taara hai(2)

Zulm huye kitne un par
Sine pe rakha patthar
Fir bhi lab pe jari tha
Lailaha Illalallah

Hasbi Rabbi Jallalallah
Mafee Qalbi Gayrullah
Noore Muhammad Sallalallah
Lailaha Illalallah

Apni bahen se bole Umar
Ye to bata kya karti thi
Mere aane se pahele kya
Chupke chupke padti thi (2)

Bahen ne jab Quran pada
Sunke Qalame paake Khuda
Dil ye Umar ka bol utha
Lailaha Illalallah

Hasbi Rabbi Jallalallah
Mafee Qalbi Gayrullah
Noore Muhammad Sallalallah
Lailaha Illalallah

Gulshan Kalma padte hein
Chidiya Kalma padti hai
Duniya ki Makhluk sabhi
Zikr Khuda ka karti hai (2)

Kehte sabhi hein Jinno Bashar
Kehta Shajar hai Kehta Hajar
Kehta hai Patta Patta
Lailaha Illalallah

Hasbi Rabbi Jallalallah
Mafee Qalbi Gayrullah
Noore Muhammad Sallalallah
Lailaha Illalallah (2)

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top